SHOHAR AUR BIWI KE HUQOOQ

0
16020

SHOHAR AUR BIWI KE HUQOOQ

Qur’an :
30 Surah al-Room, Aayat 21 :

وَمِنْ آيَاتِهِ أَنْ خَلَقَ لَكُمْ مِنْ أَنْفُسِكُمْ أَزْوَاجًا لِتَسْكُنُوا إِلَيْهَا وَجَعَلَ بَيْنَكُمْ مَوَدَّةً وَرَحْمَةً ۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَآيَاتٍ لِقَوْمٍ يَتَفَكَّرُونَ

Aur ye us ki nishaaniyon me se hai ki us ne tumhare liye tumhari hi jins se jode paida kiye taake tum un se sukoon (aaraam) paao aur us ne tumhare darmiyaan (aapas me) Mohabbat aur Rahmat rakhi. Beshak is me nishaaniyan hain un ke liye jo ghaur wa fikr karte hain.

Qur’an :
2 Surah Baqarah, Aayat 187 :

هُنَّ لِبَاسٌ لَكُمْ وَأَنْتُمْ لِبَاسٌ لَهُنَّ

Wo (biwiyan) tumhare liye libaas hain aur tum un ke liye libaas ho.

Libaas insaan ki zeenat badhata hai aur us ke aib chhupata hai.

Isi tarah shohar aur biwi ko bhi ek dusre ke aib poshida rakhne chahiye aur dusro ke saamne zaahir nahi karne chahiye aur koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhani chaahiye aur galat fehmiyon ki wajah se paida hone wale ikhtelaaf aur fitne fasaad se hamesha bachna chaahiye aur ek dusre ki izzat ki hifaazat karni chahiye aur ek dusre ki khubiya zaahir karni chahiye aur khud bhi hamesha aise amal karne chahiye ke ek dusre ki izzat badhe.

HADITH:

(1) Ummul mo’mineen Hazrate Aa’isha Siddeeqa radi-Allāhu anha wa Hazrat Abu Huraira radi-Allahu anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Agar main kisi ke liye Sajde ka hukm deta to Aurto ko hukm deta ki apne shohar ko sajda kare.’

(Tirmizi, Jild -1, Baab -788, Safa 594, Hadees -1158,
Mishkaat, al-Masabih, Hadees -7)

(2) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se daryaft kiya ki ‘Behtareen Aurat ki pehchaan kya hai?’
Aap(saw) ne farmaaya:
‘Jo Aurat apne Shohar ki ita’at wa farman bardari kare.’
(Nisaai, Jild -2, Safa -364)

(3) Jo Aurat panjgaana namaaz padhe, Ramazaan ke roze rakhe, apni izzat aabroo ki hifazat kare aur apne shohar ki farman bardar ho wo to jannat ke darwazo me se jis darwaaze se chaahe daakhil ho jaaye.

(4) Koi aurat baghair apne shohar ki ijazat ke nafli roza nahi rakh sakti.
(Sahih Bukhari, Hadees -5192, Sahih Muslim, Hadees -1026)

(5) Agar kisi aurat ka shohar raat ko us se naraaz hokar sota hai to wo puri raat rahmat ke farishto se mehroom rehte hain.
(Bukhari shareef, Jild -3, Baab -115, Safa -96, Hadees -178)

(6) Jis aurat ki maut aisi haalat me aaye ki marte waqt us ka shohar us se khush ho to wo aurat jannat me jaayegi.

Qual :

Hazrat Ali radi-Allāhu ta’ala anhu farmaate hain :
‘Be-waqoof aurat apne Shohar ko apna Ghulaam banaati hai aur khud Ghulaam ki Biwi ban jaati hai. Aur aqlmand aurat apne Shohar ko Baadshaah banaati hai aur khud Baadshah ki Mallika ban jaati hai.’

HADITH:

(1) Tum par yeh laazim hai ki apni aurton par narmi o meharbani karo, na in par zulm karo aur na in par tangi karo. Is liye ke jab Aurat par zulm kiya jaaye to ALLĀH ta’ala aisa hi naaraz hota hai jaisa ki yateem ki wajah se naraaz hota hai.
(Qart-ul-Uyoon wa Mafrah-ul-Qalb wa Mahzoon, Safa -83)

(2) Koi mo’min shohar apni biwi se nafrat na kare, us ki ek aadat pasand nai aati to dusri aur aadat pasand aayengi.
(Muslim)

(3) Sab se bura aadami who hai jo apni biwi ko sataaye.
(Tabrani)

(4) Sab se kaamil eimaan us ka hai jis ke akhlaaq ache hain aur jo apne biwi- bacho ke saath narmi se sulook kare.
(Tirmizi)

(5) Jab kisi ke nikaah me do biwiya ho aur wo ek hi ki taraf maayel ho to woh qayaamat ke din jab aayega to us ka aadha dhad gira hua hoga.

( Tirmizi, Jild -1, Safa -584, Hadees -11370)

SHOHAR AUR BIWI KE LIYE IN BAATON KO APNANA KHAAS ZAROORO HAI:

(1) Aapas me mohabbat rakhen aur aitemaad (trust) rakhe aur narmi aur husn e sulook ke saath paish aaye.
(2) Ek dusre ki khubiyo par nazar rakhe aur aibo aur khaamiyo aur mamooli galtiyo ko nazar andaaz kare.
Ek dusre ke aib posheeda rakhe aur dusro ke saamne zaahir na kare.
(3) Ek dusre ko nek sahi mashwara de aur har nuqsaan se bachaye.
(4) Deendaari wa shariat ki taakeed kare aur neki ki taraf raahnumai kare.
(5) Haya aur adab aur husn e akhlaaq ikhtiyaar kare aur aisa koi kaam na kare ke jis se dusre ki izzat kam ho aur ek dusre ki izzat ki hifaazat kare.
(6) Ek dusre ki jaa’iz zaroorato ka khayal rakhe.
Mard halaal rizq kama kar laaye aur ghar ke akhrajaat ko pura kare
Aur Aurat uski halaal aamdaani me se khaane ka aur dusri zaroorato ka khayaal rakhe. Aur us ke halaal rizq par shukr aur sabr kare aur ghar ka, maal ka aur ahlo ayaal aur ghar walo ka aur mehmaano ka khayaal rakhe aur fuzul kharchi na kare.
(7) Ek dusre ki jaa’iz khwaahisho ko pura kare.
(8) Ek dusre se wafadaari rakhe aur apne shareeke hayaat ke ilaawa kisi ghair aurat ya ghair mard ke baare me na soche.
(9) Ek dusre ke Rishtedaaro aur Dosto ya Saheliyo ki izzat kare aur un se husne sulook kare.
(10) Ranj o gam, museebat aur beemari me ek dusre ke saath rahe aur ek dusre ko madad kare aur tasalli aur sahaara de aur hosla afzai kare.
(11) Koi galti ho jaaye to narmi ke saath use sahi baat samjhaaye aur galat fehmiyo aur shak ki wajah se paida hone wale ikhtelaaf aur fitne fasaad se hamesha bachna chaahiye.
(12) ALLĀH ta’ala se ek dusre ke liye dunya aur aakhirat me bhalai ki aur khair o barkat ki aur salaamati ki dua kare.

BEHTAREEN SHOHAR KI PEHCHAAN:

• Jo apni biwi ke saath narmi, khush akhlaaqi aur husn e sulook ke saath paish aaye.
• Jo apni biwi ke huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotahi na kare.
• Jo apni biwi ki khubiyo par nazar rakhe aur mamooli galatiyon ko nazar andaz kare.
• Jo apni biwi ka is tarah hokar rahe ke kisi ajnabi aurat par nigaah na daale.
• Jo apni biwi ko apne aish wa ishrat me barabar samjhe.
• Jo apni biwi par kabhi zulm aur kisi qism ki be ja zyadati na kare.
• Jo apni biwi ki tand mizaaji aur bad-akhlaqi par sabr kare.
• Jo apni biwi ki museebato, beemariyo aur ranj o gham me dil-joi, timaardari aur wafadari ka saboot de.
• Jo apni biwi ko parde me rakh kar izzat wa aabroo ki hifaazat kare.
• Jo apni biwi ko zillat wz ruswai se bachaye rakhe.
• Jo apni biwi ko deendari ki taakeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.
• Jo apni biwi ke akhrajaat me bakhili aur kanjoosi na kare.
• Jo apni biwi par is tarah qaboo rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.

BEHTAREEN BIWI KI PEHCHAAN:

• Jo deendaar aur paabande shariat ho aur huqooqullāh aur huqooq-ul-ibaad ko ada karti ho.
• Jo apne shohar ki farmaan bardaari aur khidmat guzaari ko apna farz mansabi samjhe.
• Jo apne shohar ke tamaam huqooq ada karne me kotahi na kare.
• Jo apne shohar ki khubiyon par nazar rakhe aur us ke aibo aur khaamiyon ko nazar andaaz karti rahe.
• Jo khud takleef utha kar hamesha apne shohar ko aaraam pahunchane ki koshish karti rahe.
• Jo apne shohar se us ki aamdaani se zyada ka mutaaliba na kare aur jo mil jaaye us par sabr o shukr ke saath zindagi basar kare.
• Jo apne shohar ke siwa kisi ajnabi mard par nigaah na daale aur kisi ki nigaah apne upar na padne de.
• Jo parde me rahe aur apne shohar ki izzat ki hifazat kare.
• Jo shohar ke maal aur makaan wa saaman aur khud apni zaat ko shohar ki amaanat samajh kar har cheez ki hifaazat wa nigehbaani karti rahe.
• Jo apne shohar ki museebat me apni jaani wa maali qurbaani ke saath wafadaari ka saboot de.
• Jo saas, nanand aur sasurali rishtedaar aur padosiyo aur milne jhulne wali aurto ke saath khush-akhlaaqi aur sharaafat ka bartav kare.
• Jo maaika o sasural dono gharo me har dil azeez aur ba-izzat ho.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Sab ko nek shareek e hayaat ata farmae aur Sab ko dunya aur akhirat me bhalai aur kaamyaabi ataa farmaye.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmaye.
Aameen.

Screenshot_7